*SHABE MEARAJ KI HAQIQAT*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1321⭕
Shabe mearaj ki kya fazeelat hai?
us me kya ibadat karni chahiye?
🔵 AAJ KA JAWAB{e
حامدا و مصلیا و مسلما
27 Rajab ki shab ke baare me yeh Mashhur ho gaya hai ke yeh SHAB-E-MEARAJ hai aur is Shab (raat) ko bhi usi tarah guzarna chahiye jis tarah Shab e Qadr guzari jaati hai aur jo fazilat Shab e Qadr ki hai, kam o besh Shab e Meraj ki wohi Fazilat samjhi jaati hai, balke Mene to ek jagah yeh likha huva dekha ke shabe mearaj ki fazilat shabe qadr se bhi ziyadah hai.
Aur fir us raat me logo ka namazo ke bhi khaas khaas tariqe mashhoor kar diye ke us raat me itni rakate padhi jaayen aur har rakaat me fulaan fulaan khaas surten padhi jayen.
Khuda jaane kya kya tafsilaat is namaz ke baare me logo me mashhoor ho gayi.
Khoob samajh lijye, yeh Sab be asal baaten hain, Shariat me inki koi asal aur koi buniyad nahin.
*SHAB-E-MERAJ KI TA’YEEN ME IKHTELAAF*
Sab se pehli baat to yeh hai ke 27 RAJAB ke baare me yaqini taur par nahin kahaa jaa sakta ke yeh wohi Raat hai jisme Nabi e kareem Sallallahu Alayhi Wasallam MEARAAJ par tashrif le gaye the, kyun ke is baab me mukhtalif riwayaten hain.Ba'az riwayaton se ma'alum hota hai ke Aap Sallallahu Alayhi Wasallam RABI UL AWWAL me tashrif le gaye the, ba'az riwayaton me RAJAB ka zikr hai aur Ba'az Riwayaton me koyi aur Mahina bayaan kiya gaya hai. Isliye poore yaqin ke saath nahin kahaa ka sakta ke konsi raat Sahih me MEARAJ ki raat thi, jisme Huzoor Sallallahu Alayhi Wasallam MEARAJ tashrif le gaye.
*WAQIA E MEARAJ KI TARIKH KYUN MEHFOOZ NAHIN?*
Is se aap khud andaza karlen ke agar Shab e Mearaj bhi Shab e Qadr ki tarah koyi Makhsoos raat hoti aur uske bare me koyi khaas Ahkaam hote jis tarah Shab e Qadr ke baare me hai to us tarikh aur Mahina Mehfooz rakhne ka aehtamam kiya jaata. Lekin chunke is tarikh ko mahfuz rakhne ka ahtemam nahin kiya gaya to ab Yaqini taur se 27 Rajab ko Shab e Mearaj qaraar dena durust nahin.
*BAAQI KAL INSHA'ALLAH*
📗SHAIKHUL ISLAM HAZRAT MUFTI TAQI USMANI D.B.KE ISLAHI KHUTBAT KE BAYAN KA KHULASA
Www.aajkasawal.page.tl
Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment