Thursday, April 12, 2018

27 RAJAB KI RIVAYAT KA HUKM

*27 RAJAB KI RIVAYAT KA HUKM*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1305⭕

Barelvi hazraat shabe me'araj aur dusre din ke rozah ke fazail ki ahadis kitab ke hawale ke saath paish karte hain aur maslake dewband in fazail ka inkaar karte hain to un ahadis ka kya jawab hoga?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Raisul muhaddiseen Hazrat Shah Abdul Haq Muhaddise Dehlvi Rahmatullahi Alayhi (yeh barelvi aur dewbandi hazraat dono ke maane huve buzrug hain,

Balke Hindustan me hadis ka fan inke walid laye the aur har aalim ki sanad in tak pahonchti hai, unhone jab dekha ke hind me mukhtalif mahino me mukhtalif qism ki bid'at aur rusumaat jaari hain aur inko apne faidah ke liye use saabit karne ke liye logo ne hadise bhi ghad li hain,

Lihaza un ahaadis ka rad karne aur har mahine ke sahih aur muatabar fazail ummat ke samane aaye isliye 12 mahine ke fazail par kitab likhi *maa sabat minas sunnah fee ayyamis sanah* is kitab me safa 175 se 185 tak ahaadis naqal karne ke baad farmate hain ke *is raat ki aur rozah aur fazail ki iske alawah hadis bhi jhuthi aur mavzua hai*

*Aur aage is raat ki khaas namzon ke baare me farmate hain ke yeh namaze bid'at aur munkar ya'ani ajeeb aur khilafe sunat hai.*

📘MAA SABAT MIASSUNNAH FEE AYYAAMIS SANAH SAFA 185

Www.aajkasawal.page.tl

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...