*ZAKAT KIS PAR WAJIB?*
🔴AAJ KA SAWAL NO. 1328🔴
Zakat kis par wajib hai..?
🔵JAWAB🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Jis ke paas saal ke shuru aur saal ke akhir me [sade bavan 52.5 tola] 612 gram 35 ml. gram chaandi ho ya [sade saat 7.5 tola] 87 gram 479 ml. gram sona, qarza adaa karne ke baad bachta ho, us par zakat vajib hai.
Ya sade bavan tola chandi ki qeemat aaj 16 april 2018 ke hisab se india me qeemat 25650 rs. ke baqadr zakat ka maal qarza Adaa karne ke baad mavjood ho to bhi zakat wajib hai.
Masalan 1 tola sona hai aur sirf 50. rs naqad hai aur qarza nahin hai to uspar zakat wajib hai kyun ke ek tola sona aur 50 rs. ko milaya jaye to chandi ka nisab ban hi jaata hai
Ya bechne ka nisab se kam kuchh maal hai aur kuchh naqad paise hai aur kuchh sona kuchh chandi hai in charon me se kis bhi do ko milaya jaye to chaandi ke nisab ki qeemat tak qarza adaa karne ke baad pahonch jaata hai to us par saal ke khatma par zakat wajib hai, saal ke darmiyan me maal nisab se kam ho jaye to uska aetibar nahin.
📘Masaile zakat safa 61 ba hawala ahsanul fatawa 4/254 se mskhooz
Www.aajkasawal.page.tl
Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment