Sunday, April 15, 2018

ZAKAT KA HUKM AUR SHARTEN

*ZAKAT KA HUKM AUR SHARTEN*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1327⭕

A.
Zakat dene ka kya hukm hai?

B.
Zakat farz hone ki kitni sharten hain?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

A.
Zakat dena farz hai Qur'an e majeed ki aayaton aur Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم  ki hadison se iska farz hona saabit hai. Jo aadmi zakat farz hone ka inkar kare woh kafir hai.

B.
Zakat farz hone ki 7 sharten hain

1. Musalman,
2. Aazaad, 
3. Aaqil, 
4. Balig hona.
5. nisab ka malik hona. 6. Nisab ka apni zarurat se ziyadah aur qarz se bacha huva hona.
8. Malik hone ke baad nisab par ek saal guzar jana.

Bas kafir, gulam, pagal aur na balig ke maal me zakat farz nahin.

isee tarah jiske paas nisab se kam maal ho ya maal to nisab ke barabar hai lekin woh qarzdar bhi hai ya maal saal bhar tak baaqi nahin raha, to in haalaton me bhi zakat farz nahin.

📘TALEEMUL ISLAAM 4/118
و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...