Thursday, April 5, 2018

SOOD SE TARAQQI KA AETRAZ

*SOOD SE TARAQQI KA AETRAZ*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1317⭕

Baz log kehte hain yeh badi badi imarat (building), bangle, moll, qeemti gadiya yeh sab taraqqi sood ki wajah se nazar aati hai aadmi soodi qarz nahin lega to aage kaise barhega?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Sood se ek taraqqi ki misaal aesi hai jaise kisi aadamkhor (aadmi ka gosht khane walo) ki basti ke log ko dekhe ke jismani aetibar se hatte katte tandurast aur mote nazar aate ho to use dekh kar koi kahe ke in basti walo ne jismani aetibar se taraqqi ki hai aesa kehne walon ko us basti ke pichhe Jo dusri basti hai wahaan le jaya jaye jahaan puri basti me insaan ki bagair gosht ki haddi ke dhanche hi dhanche hi pade ho jinko us aage ki basti walon ne khaa liya hai to kya ab uska yeh khiyal baqi rahega ke inhone taraqqi ki hai?

Yahi haal duniya ke sood khor maaldaron ka hai unhone gareeb ko ziyadah gareeb kar ke taraqqi ki hai.
Chand maaldar logon ki taraqqi ko desh ki taraqqi nahin kahaa jaa sakta hai.

📗MAKHOOZ AZ MARIFUL QURAAN. JILD 1 AYAT 276 KI TAFSEER SE

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...