Friday, April 27, 2018

PROVIDENT FUND KI ZAKAT PART. 2. QARZA

*PROVIDENT FUND KI ZAKAT PART. 2. QARZA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1339⭕

Saahibe nisab shakhs ko provident fund ki zakat kitne rupiye aaye to nikalni hai ?
Aur kab se nikalni hai ? ye pese qabze me aayenge us waqt se hi us ka shumar kar  sakte hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Agar Ye mulazim pehle se Sahibe Nisaab tha to fund ki raqam chahe miqdare nisaab se kam mile ya zyada uska saal alag se shumar nahi hoga,

Balki jo maal pehle se uske paas tha Jab uska saal pura hoga yani pehle se mojooda nisaab ki zakaat nikaalne ki tareekh aayegi to fund ki vasool shuda raqam ki zakaat bhi usi waqt waajib ho jayegi, chahe us nayi raqam per ek din hi guzra ho

Zakaat ki ye tafseel imaam e aazam Abu Hanifa Rh. ke qoal per he, aur usee par fatwa hai

Saahibain Rh. ke qoal ke mutabiq qarz ki har qism per zakaat Farz he,
Lihaza agar koi ahatyaat Aur taqwe per amal karte hue guzishta tamaam saalo ki zakaat Ada kare to behtar he,

iska behtar tareeqa ye he k jabse ye mulazim Sahibe Nisaab ho us waqt se har saal ke khatm per hisaab kar liya jaye, ke ab uske fund me kitni raqam jama he, Jitni raqam jama he uski zakaat Ada kar de, isi tarah har saal karta rahe.

📗Fiqhul ibadaat, 277

📘Mahmoodul fatawa 2\82
╓━═══○═✧═○═══━╖

و اللہ اعلم
✏ HAQQ KA DAYEE ANSAAR AHMAD

✒TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe
👉🏻1⃣www.aajkasawal.page.tl

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...