Sunday, April 8, 2018

KHEER PURI KI HAQEEQAT AUR KUCHH DALAEEL KE JAWABAT

*KHEER PURI KI HAQEEQAT AUR KUCHH DALAEEL KE JAWABAT*

🛑AAJ KA SAWAL NO.1920🛑

KHEER PURI KI SHURUAT KISNE KI AUR KAB HUYI ?

BARELVI KEHTE HAIN KE ISME SHIYON SE MUSHABAHAT NAHIN HAI,
KOI KAARE KHAIR HUM SHURUA KAREN AUR USEY DUSRA KOI FIRQA APNA LE TO US KAARE KHAIR KO NAHIN CHHODA JAYEGA,
SHIYON KE KHIR PURI KARNE ME AUR SUNNIYON KE KARNE ME KAI TAREEQE SE FARQ HAI.

HAZRAT JAAFAR SAADIQ KI WAFAT KYA RAJAB ME HUYI HAI ?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

22 RAJAB YA 15 RAJAB KO NA HAZRAT JAAFAR SAADIQ RAHMATULLAHI KI WAFAT HUYI HAI, NA WILADAT.

IS DIN SHIYON KE SAB SE BADE DUSHMAN HAZRAT AMEERE MUAAWIYAH RADIYALLAHU ANHU KI WAFAT HUYI HAI.

AUR HAZRAT JAFAR SAADIQ RAHMATULLAHI ALAYHI WILADAT (PAIDAISH) 8 RAMAZAN 80 YA 83 HIJRI ME HUYI

(AGAR RAJAB KA MAHEENA HO TO AHLE BARELVI TAREEKH KI KITAB KA HAWALA PAISH KARE.)

📘TARIKH E TABREE SAFHA 239 JILD 4 BEROOT KI CHHAPAI

KHEER KUNDE KI SHURUAT HEE SHIYON NE KI HAI NA KE SUNNIYON NE.

MUSHABAHAT US WAQT NA HOTI JAB ISKI SHURUAT SUNNI KARTE AUR FIR ISKO SHIYA SHURUA KARTE,

LEKIN MUAMALA ULTA HAI, KE HAZRAT AMEERE MUAAWIYAH RADIYALLAHU ANHU JO SHIYA KE SAKHT MUKHALIF THE AUR SHIYON KO QATAL KARTE THE AUR SAZA DETE THE,
UNKI WAFAT PAR KHUSHIYAA MANAI AUR CHHUP KAR KHIR PURI BANAYI AUR CHHUP KAR KHAI AUR SUNNIYON KO PATAA CHALA TO ISKO HAZRAT JAAFAR E SAADIQ KI TARAF CHAALAKI SE MANSOOB KAR DIYA.

 
MAZEED DALILEN

1. IS RASM ME AAJ TAK ISKI PABANDI HAI KE KUNDON KI PURIYAN KISEE BANDH (AASMAN NAZAR NA AAYE) AISI JAGAH BANAYI JATI HAI.

2. BANNE KE BAAD BADE AEHTAMAM SE DHANK KAR RAKHA JATA HAI.

3. FATIHA ANDHERI JAGAH ME DIAYA JATA HAI.

4. PARDE KE SAATH USE KHILAYA JATA HAI

5. HAZRAT JAAFAR SAADIQ KE SAATH SHIYA HAZRAT KI JAGAH IMAM KA LAFZ ISTIAMAL KARTE HAIN, UNKI MUSHABAHAT ME BARELVI BHI IMAM KEHTE HAIN, JIS TARAH KAHNE ME ITTIBAA KARTE HAIN BOLNE ME BHI SHIYON KI MUSHABAHAT AUR ITTIBAA KARTE HAIN

6. HAZRAT JAAFAR SAADIQ RAHMATULLAHI ALAYHI SAHABI NAHIN HAI, BALKE VALI HAI, AVLIYAA E KIRAM BAHOT SE HAIN, USME HAZRAT JAAFAR SAADIQ KI HEE KYA KHUSISIYAT KE UNKE HEE NAAM PAR SHURUAT KI JATI HAI ?

SAHABA RADIYALLAHU ANHUM KI KYUN NAHIN KARTE HAIN?

7. FATIHAA KE BAAD

'YA ALI" RADEEYALLAHU ANHU KA NAARA LAGAYA JATA HAI

YA ABU BAKR

YAA UMAR

YAA USMAN

KA NAARA NAHIN LAGAYA JAATA? KYUN KE SIRF ALI RADEEYALLAHU ANHU KO HEE MAANNA AUR DUSRE 3 KHULAFAA KO NA MANNA SHIYON KA TAREEQAH HAI.

AUR KHIRPURI SHIYA BHI ISEE TARAH KARTE HAIN UNSE PURI MUSHABAHAT HOTI HAI. LIHAZA IS SE BACHA JAYE.

http://www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...