Monday, April 2, 2018

SOOD ARAAM HONE KI HIKMATEN

*SOOD ARAAM HONE KI HIKMATEN*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1314⭕

PART 2.
*Sood kyun haraam hai?* Uske dunyawi nuqsaanat kya kya hain?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Uske dunyawi nuqsaanat bahot se hain jinme se kal 6 bataye the mazeed hasbe zail hain.

*7.Fuzoo karchi karna* Har woh shakhs jiski kamayi (income) bila mehnat ki ya haram ki hogi woh fuzool kharchi (apne maal ko rasmo riwaaj aur dikhlawe) me bagair faidah ke kamon me khub udayega.

*8.Nikammah-sust ho jana*
Jisko nafa bagair mehnat ke baithe baithe kamane ki aadat pad jati hai woh apna hunar (fan) bhool jata hai fir usse mehnat ka kaam nahin hota uski tabiyat sust ho jati hai.

*9.Mehngai badhna*
Bade bade taajr (businessman) ko badi badi loan milti hai chhote taajir ko badi loan nahin milti isliye bade taajir bazar se puraa maal utha leta hai fir apni manmaani qeemat se bechta hai kyun ke usko itna lamba fixed nafa (sood) chukana hai isliye menhga bechna zaruri ho jata hai.

*10.bakheel (kanjoos) ho jana*
Kyun ke usko duniya, mulk, shahar, ke sab se ziyadah maaldar aadmi me jo number hasil hai woh us unche no. Se niche no. Par na aa jaye isliye yeh itne maaldar, ziyadah bank balance ke maalik hone ke bawajood lambi raqam kabhi bhi hospital ya gareebo ke faidah ke liye nahin dete.

        (Baaqi insha'Allah kal)

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...