*BIME KI RAQAM PAR ZAKAT*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1335⭕
Dukan,car aur jiwan bima-life inusurance qanooni majboori me liya ho to us ki jamaa ki huyi raqam ki zakat nikalna zaruri hai?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Dukan, karobar aur car bima ki raqam wapas milna yaqeeni aur zaruri nahin isliye uspar zakat wajib nahin albattah jiwan bima me har haal me raqam sood ke saath wapas milti hai isliye bhari huyi asal puri raqam ki milne ke baad guzre huwe tamaam saalon ki zakat wajib hogi (har saal us ki zakat peshgi-advance nikal sakte hai ta ke ek sath nikalne ka boj na aaye) aur jo raqam zaid milegi woh haraam aur sood hai isliye us par zakat wajib nahin.
📗KITABUL MASAIL 2/217
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻http://www.aajkasawal.page.tl
Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment