Saturday, March 31, 2018

KAFIR KEHNE ME AEHTIYAAT

*KAFIR KEHNE ME AEHTIYAAT*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1311⭕

Agar kisi ki kufr ki baat zabani ya likhihui baat ham tak pahonche jis me kufr ka matlab bhi nikalta ho to kya karna chahiye us ki woh baat sunte hi us ko kafir keh sakte hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Allamah qazi sanaulah pani pati Rahmatullahi alayhi likhte hai ke dustur quzaat me fatawa e khulaasah se naqal kiya gaya hai ke, kisi maslah-baat me chand matlab kufr ke nikalte ho aur ek matlab kufr ka na nikalta ho to fatwa kufr par na dena chahiye lekeen faqeer-me kehta hun ke khud ko aesi baat jis me ek matlab bhi kufr ka nikalta ho bachana chahiye.

(MAALAA BUDDA MINHU SAFA 129)

Lihaaza kisi ki kufr ki baat sun kar ya padhkar use foran kafir na kahe balke usse us ka maqsad aur matlab kiya hai usee ko puchha jaye fir fesla kiya jaye aur woh wafat paa gaya hai to us ki kitab ki ibarat ka jaiz matlab nikalne ki koshish ki jaye jab tak gaire kufr (ke alawah ka) matlab nikalta ho kufr ka fatwa nahi lagaya jayega

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...