Saturday, March 24, 2018

MASJID ME JAIZ NA JAIZ AELAN

*MASJID ME JAIZ NA JAIZ AELAN*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1305⭕
A.
Masjid me chande ka aelan faqeer apni zaroorat ke liye ya safeer madrasah ya dusri masjid ki zaroorat ke liye kar sakta hai ya nahi?

B. Koi cheez gum ho gai ho to us ka aelaan masjid me kar sakte hai ya nahi?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Masjid me faqeer apni asli zaroorat ke liye (shadi ke riwaji jahez, zindagi ka guzara jis par mavqoof na ho aesi cheez ka sawal na ho) aur safeer deenee zarurat ke liye aelan is shart ke saath kar sakta hai ke woh aelan karne ke liye safon ko cheer kar aage na aaye, kisi musalli ke samne se na guzre, musalli ko khalal na ho {bahut zor se ya lamba} aelan na ho to jaiz hai warna jaiz nahi.

📙IMDADUL FATAWA 2/728 ZAKARIYA

Madaris wa anjuman ke liye masaajid me chandah karna mamooa-mana nahi jab ke namaz aur khutbe ke waqt na ho aur kisi namazi ko us se tashwish-khalal wa takleef na ho.

📕FATAWA DARUL ULOOM 1/211

📘MAHMOODUL FATAWA 5/517

📗FATAWA MAHMOODIYAH QADEEM 12/254

B.
Agar aelaan kisi aisi cheez ka hai jo uski gum ho gayi ho to uska aelaan masjid me kar ne ki ijazat nahi

Hadees me hai aise aadmi ko Huzoor SALALAHU ALAYHI WASALLAM e farmaya Allah teri cheez ko tujhe waapas na lotaye (kyun ke usne masjid ko aelaan ki jagah bana diya usne masjid ki hurmat (izzat wa aadab) ki riaayat nahin ki isliye aise ko bad-dua deni chahiye) haan masjid ke ihaate-boudary ke bahaar is ka aelane kiya jaa sakta hai.

📔HADEES KE ISLAAHI MAZAAMEEN 14/247,248

Dono maslon me koi taqraaw nahi Khulasah ye hai ke gum shudah cheez ka aelan mana hai aur deenee aur asli zarurat ke aelan ki safeer wa faqeer ko sharait ke saath ijaazat hai.

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...