Monday, March 12, 2018

MAGNI KI DAWAT KA HUKM*

*MAGNI KI DAWAT KA HUKM*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1292⭕

Shariat me mangani kise Kehte hain?

Mangni kaisi honi chahiye?

Ab hamare ilaqe me maganiyan bhi shadi ki tarah hone lagi hain badi badi dawten hoti hai mardon aur aurton ki hazri hoti hai iska kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Shareeat me ek fareeq ki janib se dusre fareeq (party) ke samne nikah ki tajweez (pukhtah irada) rakhe jane ko "Mangni"kaha jata hai jab fareeqe sani (dusri party) us tajweez ko manzoor kar leta hai to Mangni ka amal mukammal ho jata hai shareeat ki nigah me iski haisiyat ek wade ki hai kisi uzre sharaee ke bagair todna gunah hai

Hazrat Ali Radeeyallahu anhu farmate hai ke Hazrat Fatimah Radeeyallahu anha ke liye paigame nikah lekar me Huzoor ﷺ ki khidmat me hazir huva jab Aap ﷺ ke samne baitha to khamosh ho gaya khuda ki qasam ke roab aur jalal ki wajah se kuchh bol na saka. Khud Aap ﷺ ne daryafat kiya ke kaise aaye ho?

Kya koi kaam hai! Me khamosh raha tab Aap ﷺ ne farmaya shayad Fatimah ki mangani ke liye aaye ho mene arz kiya jee haan.

📗(AL BIDAYAH WAN NIHAYA 3/346)

Jise bargah e khudawandi qabool farma liya gaya bas zubani taur par sab kuchh tay ho gaya, na log ikaththha huve, aur na koi aehtamam huva.

📗Muasharti. Masail safa 75

Lihaza mangani ke kiye sabko jama karna, badi ta'adad me mardon aurton ki hazri, unki dawat wagairah shar'an zaruri aur pasandeedah nahin, balke khawateen (aurton) ki mavjoodgi jin kharabiyon ko paida karti hai, woh log jante hi hain is se bachna zaruri hai.

📕MANGANI SHADI KE MUTALLIQ PESH AANEWALE MASAIL KA HAL SAFA 13

🖋AZ QALAM PIRO MURSHID HAZRAT  AQDAS MUFTI AHMAD KHANPURI SAHAB D.B.

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...