*3 TALAQ AUR HALALE KA SUBUT QUR'AN SE*
⭕ *AAJ KA SAWAL NO:- 1304*⭕
Kuchh log kehte hain ke 3 talaq aur halala ka subut Qur'an se nahin hai, kya ye baat sahih hai?
🔵 *JAWAB*🔵
حامداومصلیاومسلما
Yeh baat bilkul galat hai jo aisa kehte hain woh aalim nahin hote balki shariat se na waqif hote hain...
Hasbe zail aayat me mulahza kijiye
📗Surah baqarah aayat no. 229 me Allah taa'la farmate hain
… الطلاق مرتان فامساک بمعروف او تسریح باحسان……
¤ Talaq do martaba ki hai (do martaba talaq dene ke baad do ikhtiyar hai) chahe to rujua karle aur biwi ko qayde ke mutabiq rakh le aur chahe (rujua na kare aur iddat puri hone de aur is tarah) achchhe tariqe se usko chhod de.........fir aage char satar (line) ke baad mazid tafsil hai.....
..... فان طلقھا فلا تحل لہ من بعد حتی تنکح زوجا غیرہ فان طلقھا فلا جناح علیھما ان یتراجعا ان ظنا ان یقیما حدود اللہ.....
Tarjam ka matlab
¤ fir agar (do talaq ke baad) biwi ko (teesri) bhi di ho to fir woh aurat (teesri talaq ke baad us shakhs ke liye halal (biwi) nahin rahegi. Jab tak woh us (shohar) ke siva kisi dusre shakhs se (iddat ke baad) nikah na kar le (aur jab tak sohbat ham bistari se huqooq e zawjiyat ada na karle) fir agar talaq de dusra shakhs (aur us ki iddat guzar jaye) to un dono par (purane shohar aur bivi par) usme koi gunah nahin ke aapas me ek dusre se nikah kar ke fir mil jaye. Basharte ke dono ko apne apne upar bharosa ho ke aaindah Allah ke qanoon ko qayim rakhenge.
📘Maa'riful quraan 1/551 surah e baqarah ayat 230
✒Tarjama hakimul ummat rahmatullah alayh
*Note*:- Upar ki aayat ke mutlaq koi qaid nahin hai chahe yeh teen talaq ek saath di ho ya alag alag,
Aayat dono qism ki talaq ko shamil hai. tin talaq ek saath nahin hoti aisi baat is aayat me nahin hai.
📕ASAAN TAFSEER SAFA 89 SE MAKHOOZ HZ. MAULANA KHALID SAIFULLAH RAHMANI D. B.
Qur'an ke masail wali aayat ko achchi tarah samjhne ke liye sirf tarjama kaafi nahin hai balke hadis sharif ki roshni me iska sahih matlab samjha jata hai.
Lihaza kal Insha'Allah iske muta'alliq talaq ki hadise paish ki jayegi
Wallahu a'alam
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment