*MUMIN KE JUTHE ME SHIFA*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1309⭕
سؤر المؤمن شفاء
Mumin ke juthhe me shifaa hai
kya ye hadees hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Nahin yeh hadees nahin hai is ki koi asal nahin hai
📗ITQAAN MAA YUHSINU 1/299
📕ALBAANI SILSILATUZ ZAEEFAH 78
Agar mumin ke juthe me shifa hone ki hadees hoti to haspatalo (hospital) me khusoosi taur par aur har mareez ko umoomi taur par juthha khilane aur pilane ka riwaj hota,
Lekin aisa nahin hai pataa yeh chala ke yeh hadees mavzooa-manghadat hai
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment