*ME HINDU HUN KEHNA*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1300⭕
Us shakhs ke bare me kya hukm hai jisse kaha jaye ke ramazan ka mahinah hai Qur'an ki tilaawat kyun nahin karta?
Tu musalman nahi? To uska jawab yeh de "haan me musalman nahi balke me hindu ya sikh hun" kya woh musalman rehta hai aur uska nikah baaqi rehta hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
yeh kalimah ke "haan me musalman nahin hun hindu ya sikh hun" kalmah e kufr hai agar uska wohi matlab muraad tha jo alfaaz se samajh me aa raha hai to insaan in kalimaat kehne se kaafir ho jaata hai
Aese aadmi ko taubah ke baad imaan ki tajdeed (renew) aur nikaah ki tajdeed (renew) laazim hai aur maqsad kuchh aur tha to likh kar dobarah sawal kare tajdeede imaan wa nikaah har surat me kar leni chahiye kyun ke yeh badaa khatarnaak aur sakht jumlah hai
Allah har musalmaan ko aisi baat kehne se mahfooz rakhe.
📗FATAAWA USMAANI 1/88
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment