*TABLEEG PEHLE THAT ME FIR BAHAR*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1269⭕
Zaid panchganah namaz ada karta hai.kabhi kabhi tableegi jamat me chillah lagata hai.masjid ke imam jo mustanad (sanad paye huwe) alim hain us se kehte hai ke tumhare liye zaroori hai ke pehle tableeg apni basti wa gharane ki karo jab ke gharane me be namazi hon aur basti me kis qadar be nanazi hain ghar ghar tableeg karo us ke baad bahar dusri jaga tableeg ke liye jawo aur daleel me aayat pesh karte hain "apne gharwalon ko namaz ka hukm dijiye aur khud us par jame rahiye.." bayan karte hain kiya ye saheeh hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Apne ghar aur basti ka haq dusron par muqaddam hai lekeen is ka ye matlab nahi ke ghar ya bastiwale jab tak pure paband na ho jayen dusron tak paigam na pahonchaya jaye masalan kisi jaga deenee madrasah jaise daru uloom dewband hi hai yahan us ki pabandi nahi ki gai ke deband ke ek ek aadmi ko pura aalim banaya jaye tab dusri jaga ke talibe ilm ko dakhile ki targeeb di jaye
Na kisi buzrug ke mutalliq ye maloom huwa ke apne ghar aur basti wale puri islah kiye bagair bahar ke aadmiyon ki bayat na ki ho
Na kisi hafiz aalim ne bahar ke ladkon ko parhane ke liye is ka aehtamam kiya ho balke ba kasrat yahi dekha jata hai ke ghar aur basti wale faiz hasil nahi karte baahar wale kar lete hain
Nabiye kareem salallahu alayhe wasalam ne taaif wagairah tasreef le jane se pehle kya makkah ke sab logon ko musalman kar liya tha
Ye jawab us waqt hai jab ke tableeg ka maqsad bhi yahi ho
lekeen agar tableeg ka maqsad mehnat aur mujahidah kar ke apne deen ko pukhta karna ho to ye sawal hi paida nahi hota.
📗HAWEEQATE TABLEEG SAFA 85
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment