*KYA BAY'AT HONA ZARURI HAI?*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1256⭕
Kya bay'at hona zaruri hai?
Agar bayat na ho sake to kya koi gunah hoga?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Faqeehul ummat hazrat Mufti Mahmood Hasan Gangohi Rahmatulahi Alayhi likhte hain ke asal yeh hai ke aqaide haqqah, Akhlaqe fazilah (behtareen), a'amale saliha ka ikhtiyar karna zaruri hai aur aqaide batilah (galat), Akhlaqe razeelah (bure), a'amale fasidah se hifazat zaruri hai chahe bay'at ke zariye ho ya ilm hasil karne se ho ya suhbate akabir se (ya dawato tableeg me nikalne se ho) lekin tajrabah aur mushahidah (aakhon se dekha jana) yeh hai ke umooman bagair shaikhe muhaqiq (kaamil peer) se bay'at hone ke yeh maqsad pura hasil nahin hota (isliye bayat hona zaruri hai)
📗FATAWA MAHMOODIYAH DABHEL JILD 4 SAFA 358
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
Subscribe Our Channel
http://Youtube.com/IslamicGroup
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment