Tuesday, February 13, 2018

KON SI JAGAH KAISA PARDAH KARNA, KARVANA CHAHIYE?

*KON SI JAGAH KAISA PARDAH KARNA, KARVANA CHAHIYE?*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1263⭕

Aurat ke liye Na-mahramo se Pardah ki kiya Had konsi jagah aur kiya hai?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

Ajnabi Gair-mahramo se chaar diwari ka pardah hai aur Jo na-mahram Rishtedar ho’n aur Aurat unke samne Jane per majboor ho, Unse chaadar ka Pardah laazim hai,
iski tafseel Hazrat Thanvi Rh. ke risale "Ta’alimul Taalib ” se nakal karta hun: –

” Jo Rishtedar shar’an Mahram nahi, maslan Khala zaad, Mamu zaad, Fufi zaad Bhai ya Behnoyi ya Dever vagera, Jawan Aurat ko unke ru ba ru (saamne) aana aur Be takalluf baate karna hargiz nahi chahiye,

Jo makaan ki tangi ya har waqt ki aamad o raft ki Wajah se gehra pardah na ho sake to Sar se paanv tak tamaam Badan kisi chaadar se dhaank kar Sharm v lihaaz se Ba-zarurat ru ba ru (saamne) aa jaye,

Aur kalaai (wrist) Baaju aur Sar ke Baal aur Pindli in sabka zaahir karna haraam hai,

Isee tarah in logo ke Ru ba Ru itar laga kar Aurat ko aana jaa’iz nahi aur na hi bajta huva zever pehne, ”

📘 Ta’alimul Taalib, 5

📗Aapke Masail aur unka Hal, 8/35

✏HAQ KA DAEE ANSAR AHMAD SAHAB

®✒TASDEQ MUFTI IMRAN ISMAI MEMON SURAT GUJRATI BHARAT

Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe www.aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...