Tuesday, February 6, 2018

SHAIKH (PEER) KAISA HO?

*SHAIKH (PEER) KAISA HO?*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1258⭕

Bay'at hone se pehle Shaikh (peer) me kya kya sifat dekhne chahiye?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Hazrat shah Abdul Haqq Muhaddise Dehlavi Rahmatulahi Alayhi likhte hain ke shaikhe muhaqiq kaamil ke sifat yeh hain.

1⃣.Qur'an wa hadees ka sahih ilm rakhta ho chahe padh kar ya ulamaa se puchh kar

2⃣.Amanat daari aur taqwa me pakka ho, kabirah gunahon se bachta ho aur sagirah gunah baar baar na karta ho.

3⃣.Duniya se be ragbat ho (maal aur izzat ki muhabbat) na rakhta ho akhirat ki ragbat (shauk) rakhta ho zaruri a'amaal aur hadees se saabit zikro azkar masnoon duao ka paband ho.

4⃣.Achchhai ka hukm karne ki aur burayi se rokne ki aadat ho

5⃣.Sulook wa tazkiyah e baatin (apne deel ki safayi) aur islaah muatabar mashaikh (peeron) se hasil ki ho aur unki suhbat me kaafi raha ho aur unhone us par bharosa kiya ho.

6⃣.Bid'at se parhez karta ho.

7⃣.Sunnat ka ittibaa karta ho.

📗FATAWA AZEEZI 2/104,205
و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...