Saturday, February 24, 2018

DAIN DEE HUYI MUDDAT SE JALDI WASOOL KARNE KA LESS

🕘 *DAIN DEE HUYI MUDDAT SE JALDI WASOOL KARNE KA LESS*

⭕AAJ KA SAWAL  NO.1275⭕

Mere ek aadmi ke paas maal ka paisa 10,000 rs. Baaqi hai lekin usko maal mene ek mahine ki muddat tay kar ke becha tha mujhe paison ki zarurat hai to me use 5 % Less kar dene ki lalach is shart par dena ke apna payment mujhe 15 din me de do to yeh jaldi wasool kar ke 5% kami kar sakta hun?

AAur khareedar ke liye yeh less ka paisa jaiz hai?

🔴AAJ KA JAWAB🔴

حامد و مصلیا و مسلما

Mazkoorah surat me 15 din jald payment wasool karne ke liye muddat ke badle me Less (paisa) kam wasool karna sood (interest) ki soorat hai lihaza haraam hai.

📗qudooree safa 134 babus sulhi se mustafad

📙ahsanul fatawa 7/180

Aap ki darkhast par less (kam) dene ki shart ke bagair jaldi de de to aap khud hee apni khushi se paisa jitna kam karna chaho kar sakte ho lekin jald dene ki pehle se shart lagana fir jald wasoool hone par time ke badle paise kam karna jaiz nahin. khareedar ke liye ye mazeed faidah sood hai.

📘Kitabul fatawa 5/217

✏ IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Www.aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...