⭕Aaj ka sawal no. 1278 ⭕
Hamari masjid me Jamaten markaz wagairah se aati jati rehti hain,
Aksar wa beshtar yeh dekha gaya hai ke ameere jamat aur jamaat ke saathi wagairah rukooa wa sajade wa qiyam khilafe sunnat adaa karke is khiyal se ke kahin namazi chale na jayen jaldi farig ho jaten hain, namazi abhi sunan wa nawafil vitr hee parh rahe hote hain aur ameere jamat aur saathi wagairah apni taqreer ya kitab ka padhna zor se shurua kar dete hain,
Jisse qareebi namaziyon ka ba itminane qalb namaz padhna dushwar (mushkil) ho jata hai.
Aayate quraniyah me bhul padti hai kya yeh islah ka yeh tariqah shariat me jaiz hai ya nahin?
🔵JAWAB🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Unko takeed ki jaye ke sunnat ke mutabiq namaz adaa karen namaziyon ki faragat ka bhi intizar karen lekin agar sab ki faragat ka intizar karne tak sab namazi chale jayen aur jo shakhs sab se akheer me farig ho bas wohi reh jaaye to fir kaam karne ki kya surat hogi!!
Isliye behtar yeh hai ke farz ke baad sunnate muakkadah to sab itminan se adaa kar len fir baith jaaye aur kitab aur taqrir sune uske baad vitr aur navafil padh len taake sab ka kaam ho jaaye aur kisi ko shikayat ka mauka na mile.
📗FATAWA MAHMOODIYAH 4/320
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment