*HARAAM AAMDANI (INCOME) WALON KI NOKRI*
⭕AAJ KA SAWAL NO. 1261⭕
Jin logon ki aamdani haraam hai unke yahaan nokri karna jaiz hai ya nahin?
Isee tarah unko apni koi chiz bech kar unse paisa lena kaisa hai?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Jinki aamdani bilkul khaalis haraam hai jaise sood lena, sharab bechna, zina ke liye ladkiyon ka intizam karna wagairah to unke yahaan nokri jaiz nahin aur jo tankhaa (salary) usme se milti hai woh halaal nahin.
Isee tarah apni cheez unke haath bech kar usee male haraam se qeemat lena bhi halaal nahin.
Haan jin logon ki aamdani (aawak) shak wali ya haraam aur halaal mixed (miljhuli) ho ya'ani haraam cheez bhi bechte hai aur halaal cheez bhi, lekin halaal cheez ziyadah bechte hain ya haraam ke saath dusra halaal karobar bhi hai aur uski aamdani ziyadah hai us waqt unke yahaan nokri karna aur apni cheez unke haath bechna jaiz hai, basharte ke tankhaa ya qeemat halaal maal se den ya us maal se den jisme halaal ziyadah ho agarche aisa yeh taqwe ke khilaf hai (ya'ani ausa paisa lene se bachna taqwa aur behtar hai)
📘JADEED MUAAMALAT KE SHAREE AHKAAM 1/249
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻http://www.aajkasawal.page.tl
📱💻http://www.aajkasawalgujarati.page.tl
📱💻http://www.aajkasawalhindi.page.tl
📱download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment