Friday, February 9, 2018

CHARON SILSILE KI INTIHA KAHAAN?*

*CHARON SILSILE KI INTIHA KAHAAN?*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1260⭕

A.
Charon silsile ki intiha-and Hazrat Ali rd. tak kyun pahonchte hain?Hazrat Abubakr siddeeq aur hazrat Umar Hazrat Usman rd. tak kyun nahin pahonchti?
kahin ise shiyon ki sazish ka dakhal to nahin?

B.
Yeh silsile (chain) Nabi Salallahu Alayhi Wasallam tak pahonchti hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

A.
Jo nisbate ihsaniyah (Allah ko har waqt dekhne ka dhiyan Hazrat Ali radiyallahu anhu ko Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam se hasil huyi thi usko unhone khalifah e awwl Siddeeqe Akbar se fir khalah e saani Hazrat Umar rd. fir khalifah e saalis Hazrat Usman rd. se raasikh (mazboot) aur pakka kiya to yun samajhiye ke unki nisbat Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam aur aap ke teeno khulafa ke faizan (faiz) ka majmooah thi,

Lihaza jo silsile bhi Hazrat Ali rd.se chale woh khulafa e salasah ke faizan se khali nahin.

B.
Haan Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam tak pahonchte hain

📕FATAWA MAHMOODIYAH 4/371 KA KHULASAH

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

http://Youtube.com/IslamicGroup

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...