*QURAAN SE BAY`AT KA SUBOOT*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1253⭕
Kya bay`at hone ka suboot Qur'an se hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Ji bay`at hone ka suboot Qur'an se hai.
Surah e fatah me Allah ta`ala farmate hain.
"ان اللذين يبایعونک انما یبایعون اللہ
Jo log aap se bay'at karte hain woh Allah hi se bay'at kar rahe hai hain
📗SURAH E FATAH AAYAT 10
Aage chand aayat baad hai
لقد رضی اللہ عن المؤمنین اذ یبایعونک تحت الشجرۃ
Yaqeenan Allah raazi huva iman walon se jab woh bay'at kar rahe the aap se darakht ke niche.
📗SURAH FATAH AYAT 18
Aurton ke bay'at karne ka unse taubah aur aayindah khaas khaas qism ke gunah, fir har gunah na karne ka muahadah (agreement) jo bay'at ki haqiqat hai niche ki aayat se bhi sarahatsn sabit hai.
یا ایھا اللنبی اذا جاءڭ المؤمنات یبایعونک علی ان لا یشرکن باللہ۔۔۔
Ae nabi Sallallahu Alayhi Wasallam jab aap ke paas muamin aurten aayen ke aap se bay'at karen is par ke woh Allah ke saath shareek nahin thehrayegi kisi cheez ko aur chori nahin karengi aur zina nahin karengi aur apni awlad ko qatl nahin karengi aur buhtan nahi bandhegi jisko gharhen apne hathon aur peron ko samne aur aap ki kisi nekkaam me na-farmani nahin karenge to unse bay'at farma lijiye aur unke liye Allah se istigfar kijiye.
📗SURAH E MUMTAHINAH AYAT 12
Uper ki tino aayat me bay'at iman lane par nahi balke nek a'amal karne par hai.
📗FATAWA MAHMOODIYAH 4/399
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment