*SHARIAT AUR TARIQAT*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1262⭕
Shariat aur tareqat me kya fark hai?
Aur dono matlab kya hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Jo ahkam insan ke zahir se mutalliq hon jaise ke namaz, rozah, zakat wagairah woh shariat hai
Aur tarbiyat e baatin ka naam tareeqat hai ya'ani apne dil ko takabbur, hasad, kina, wagairah se paak karna aur Tawazua, tawakkul, taslimo raza (Allah ke faisle par raazi rehna) wagairah sifat se sajana yeh dono chizen ek dusre ki zid (mukhalif) nahin balke muawin aur madadgar hain
📘DATA WE MAHMOODIYAH 4/382
BE HAWALA
📗FATAWA HADEESIYAH SAFA 409
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment