Thursday, February 1, 2018

Bay'at hone (murid banne) ki haqeeqat

*Bay'at hone (murid banne) ki haqeeqat*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1252⭕

Bay`at hona kaisa hai? Aur kyun hote hain?
Iski kya zarurat Aur faidah hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Jis tarah jism ko bimari lagti hai isee tarah rooh ko bhi bimari lagti hai,  rooh ki bimariyan masalan takabbur-ghamand karna, hasad-adekhai karna, kina-kapat, maal ki muhabbat wagairah yeh sab haraam hai,

Jaise suvvar khana aur sharab pina haraam hai jiske dil me yeh gunah honge woh jannat me nahin jayega usse paak saaf hone ke liye jahannam me daala jayega,allah kisi ko apne fazal se bila jahannam bheje bhi safai kar sakte hai lekin ye zaroori nahi isliye in dil ki bimariyon ka ilaaj zaruri hai

Isee ko bure akhlaq ka door karna kehte hain aur jis tarah namaz padhna farz hai isee tarah sabr ke mauqe par sabr karna farz hai jis tarah roza rakhna aur zakat nikalna farz hai isee tarah shukr aur ikhlas unke mauqe par ikhtiyar karna farz hai, isee ko achchhe akhlaq se muzayyan hona (sanwarna) kehte hain, asal me akhlaq sirf muskura kar har ek se achchhi tarah mil lene ka naam nahin balke yeh bhi dil me paida hone wale akhlaq ka asaa hai

Jis tarah jism ki bimari ke doctot hote hain isee tarah rooh ki bimari ke doctor hote hain, jis tarah jism ki har bimari ka ilaj ham khud nahin karte balke doctor se karwate hain isee tarah rooh-dil ke andar ki bimari ka ilaj bhi us ke doctor se karwana chahiye,

Woh doctor woh sufiyyah- Allah ke wali-buzrug hastiyan hain jinhone kisi aur Allah walon se apna ilaaj karwaya ho aur apne rooh aur dil ko tamam qism ki bimariyon se paak kiya ho unse khilafat (logon ko bay`at karne ki ijazat) payi ho is fan ko doctari fan ki tarah sikha ho unse bay`at hote hain, ya'ani unke haath par tamam gunahon se tauba karte hain aur aayindah shareeat (Allah ke hukmon aur nabi Salallahu Alayhi wasallsam) ke tareeqon par chalne ka aur kisi qism ke gunah na karne ka waada (agreement) karte hain, isee ko bay`at kehte hain

Fir shaikh ke bataye huve zikr-ma'amulat ke ruhani tonic, unki sohbat, un ke paas hazri, unse check-up aur mashwarah ke zariyah rooh-dil andar ki bimariyon se saaf hota hai aur Allah ki muhabbat aur usse ta`lluq paida hoti hai jis se deen par chalna asaan hota hai

و الله اعلم بالصواب

📗ISLAHI KHUTBAAT 3/83 SE 87 KA KHULASA AUR

📘BAY`AT HONEWALON KO HIDAYAT SE MAKHOOZ

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...