*BAAP KI MARZI BAGAIR JAMAT ME JAANA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1270⭕
Zaid ne tableegi jamaat me jaane ke liye 4 mahine likhwa diye hai. Zaid ke baap ko ma'alum hone par zaid ko jamaat me jane se manaa kiya ke mere upar kharch ka bojh padega aur zaid kuchh raqam apne maa baap ko maahana (monthly) deta hai, jab woh jamaat me jayega to woh raqam baap ko nahi melegi
Zaid yeh kehta hai ke mene wa'adah kar liya hai mujhe jhuta hona padega.
Dusre yeh bhi kehta hai ke tableegi jamaat me jana farz ain hai, lihaza maa baap ki marzi ke bagair bhi jaa sakte hain?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلم
Tableegi jamaat me jana farze ain nahin albattah deen sikhna farze ain hai chahe madarsah me dakhil ho kar ho ya madarsah se bahar padh kar ho ya ahle ilm ya ahle deen ki khidmat me jaa kar ho chahe tableegi jamaat me jaa kar ho,
Bila qawi uzr wa'ada khilafi karna gunah hai, jahaan tak ho sake wa'ada pura karna chahiye.
Jis wa'ade ke liye waqt muqarar-tay nahin kiya usko pura karne me kuchh ta'akhir (delay) ho jaye to wa'ada khilafi aur jhut nahin.
📗HAQIQAT E TABLEEG SAFA 88
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment