*HUQUQ ZAYEA KARKE JAMA'AT ME JAANA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1272⭕
Kya maa-bap aur biwi-bachchon ko naraaz karke jama'at me jaa sakte hain?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Huquq e wajibah ko talaf-barbaad karke tableeg me jaane ki ijazat nahin. biwi-bachchon aur maa-baap ka nafqah-kharcha bhi agar uske zimme laazim ho to uska intizam karna wajib hai, usko chhod dega to gunehgar hoga
Isee tarah maa-baap agar zaeef ya bimar ho ya jismani khidmat ke muhtaj ho to unki jismani khidmat bhi lazim hai usko chhod kar bhi tableegi jama'at me jaane ki ijazat nahin.
Agar huquq e wajibah ka bhi intizam ho aur jismani khidmat ki unko haajat na ho to fir unko khud hi manaa karne ka haq nahin manaa karne par bhi tableeg me chala gaya to gunegar nahin hoga.
📕HAQIQAT E TABLEEGI SAFA 89
HAZ.FAQEEHUL HIND MUFTI MAHMOOD HASAN GANGOHI RAHMATULLAH ALAYHI KE IFADAAT
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment