Saturday, February 17, 2018

CHILLE (40 DIN) KA SUBOOT

*CHILLE (40 DIN) KA SUBOOT*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1267⭕

Tabligi jamat me chille char mahine lagane ko kahaa jata hai kya iska subutt hai ya yeh rasm aur bid'at hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

chille tak kisi kaam ki pabandi ki jaye to uske bahot achchhe asrat murattab hote hain aur kaam me khaasi (ba asar) dil jamaee nasib hoti hai yeh baat hadees se sabit hai

Bukhari ki Hadees me hai ke nutfah (mani ka qatrah) 40 din me alaqah (jama huva khoon) banta hai fir dusre 40 din me mudgah (gosht ka lothda) banta hai fir tisre 40 (ya'ani char mahine me) rooh funki jati hai aur uski umar, rozi, amal wa bakr ya bad bakht hona likh diya  jata hai.

(BUKHARISHAREEF HADEES NO.3332)

40 din takbire ulaa ke saath namaz padhne par nifaq aur jahannam se bari hone ka parwana (certificate) milne ki bhi khush khabri aayi hai

Aur 40 din me faidah pahonchne aur tabiyat me tabdeeli aane ka akabreen ka bhi tajraba hai

📕FATAWA MAHMOODIYAH 4/223 225

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...