TARKAH KAB TAQSEEM KARE?
⭕AAJ KA SAWAL NO.554⭕
Maiyyat ka tarkah-warsah kab taqseem karna chahiye Us ke liye 40 din ya 4 maheene Ka intizar karna chahiye?
🔵JAWAB🔵
Shareeat ka hukm hai ke Jin huqooq ki adaygi wajib hai (jese Ke kal Ke sms 553 me aa chuka) Jald un ko Ada kar ke baqi meeras warison ke darmiyan taqseem kar dee jaye takheer hone se bahut zayadah pechedgiyan (guch,uljhan) aur badgumaniyan paida Hoti hain aur baaz martaba takheer hone se taqseeme meeras me sakht uljhane aur mushkilat paida hoti hain aur haq talfi tak nobat pahonch Jati hai (masalan baap ke intiqal ke baad ab dukan chacha Ya bada bhai chala raha hai ab jo nafa ho raha hai Us ko kaise taqseem kare?)
Ye jazbaat mahaz bekar hai ke agar marhoom Ka tarkah fauran taqseem kiya gaya to dinya ye kahegi Ke bas isee ka intizar Tha ke marhoom ki aankh band ho aur us Ki malo jaiydad par qabzah kiya jaye!
Magar allah Ke hukm ke aage ye sab khayalat Wa jazbaat bekar hai. Sab warison ko bata diya jaye ke weerasat ki taqseem allah ka hukm Hai aur us ke mutabiq jald se jald amal kiya jaye
📘AHKAME MAIYYAT SAFA 185
✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
No comments:
Post a Comment