Monday, December 28, 2015

⚫Gairon ki taraf se Atraz "Huzoor (S.A.W.W) ne hazrat Aisha RADEEYALLAHA se jin ki umr sirf 6 saal thi jo biti ki umr hai un se is umr me nikah kiyun kiya?

⭕AAJ KA SAWAL NO.559⭕

⚫Gairon ki taraf se ye aetraz kiya jata hai ke "Huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM"  ne hazrat Aisha RADEEYALLAHA se jin ki umr sirf 6 saal thi jo biti ki umr hai un se is umr me nikah kiyun kiya?

🔵JAWAB🔵

🔖Nikah 6 saal ki umr me huwa tha lekin rukhsati-widaagiree 9 saal ki umr (garm mulkon ki balig-pakki umrwali hone ki umr) me hui thi

🔖 arab me badi umr wale ka chhoti umr wale se nikah karna aam tha koi tajjub ki cheez nahi tha isliye kuffar aur yahodiyon ne Nabi "SALALLAHU ALAIHI WASALLAM" par bahot Se aetraz-ishkal kiye lekeen ye aetraz Kisi ne nahi kiya Aur nabi "SALALLAHU ALAIHI WASALLAM" ko allah ki panah bure alqab jaise jadugar, diwana wagairah kaha lekeen aaj kal Ke kafiron ne jin laqab Ka istiamal kiya woh kisi ne nahi kiya

🔖iss kam umr ki shadi ki asal wajha nabuwwat aur khilafat ke darmiyan talluq ki mazbuti thi,kyun ke Nabi Karim SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ke baad khilafat ka silsila ALLAH ko Hazat Abu Bakr RADEEYALLAHU ANHU se chalana tha khilafat ko nabi ke ghar se bi jorna maqsood tha.

🔖Arab ki garam (hot) abo hawa Insani badan ke badhane -development mein Important-khaas role adda karti hai aur doosri baat yeh keh jis tarah ALLAH Taala kuch loogon ko height body umar aur brain power ability dosray logon se badh kar deta hai.

🔖ALLAH to buhat bara hai agar woh kisi baat ka hukm de yani chhoti umr Ki ladki Se badi umr ki ladki Ka kaam lena chahe to woh ho jati hai.

🔖lakin woh log nahi mante jin ke dillon pe muhar-band laga diya gaya hai.
Allah taala Quran main irshad farmate hain ke
‘’Allah ne in (kuffar) ke diloon aur un ke kanoo per mohar laga de hai aur un ki ankhoon pe parda par gayia hai (isliye un ki samjh me nahi aata) woh sakht azab k mustahiq hain.

✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...