⭕AAJ KA SAWAL NO.534⭕
Bachche ki viladat par kiya -kiya karna chahiye?
🔵JAWAB🔵
Bachche ki viladat par Sab se pehle us ke dayen kan me azan aur bayen kan me iqamat kahi jaye.
Fir tahneek kari jaye Jis ka matlab wa tareeqah sawal no. 533 me guzar chuka.
Fir satwen din Us ka nam anbiya alahimus salaam, sahaba RADEEYALLAHU ANHUM ya awliyaa e kiram Rahmatullahi alayhim ke namon me se koi nam rakha jaye Fir Us ke sar ke bal mundwaye jaye aur us bal ke wazan Ke barabar sona ya chandi Ya Us ki qeemat sadqah ki jaye aur dil chahe to us bachche ke sar par zafraan mala jaye.
Fir satwen din aqeeqah kiya jaye ya satwen ka khiyal karte huwe 14ve din ya 21ve din aqeeqah kiya jaye masalan bachcha peer ke din paidah huwa hai to itwar Ke din aqeeqah kare
Ladka ho to do bakre ya bade me do hisse aur ladki ho to ek bakra ya bade me ek hissa rakhe aqeeqah ki barkat se bachche se aafat bala tal jati hai.
Aqeeqah ke janwar aur gosht ke wahee sharten aur masail Hai jo qurbani ke janwar aur gosht ke hai.
📗HADYAH E KHAWATIN AUR
📘BAHISHTI ZEWAR SE MAKHOOZ.
✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
No comments:
Post a Comment