Monday, December 28, 2015

RAJAB KE KUNDO KA KYA HUKM HAI..

SAWALRAJAB KE KUNDO KA KYA HUKM HAI..?JawabAgar rajab ke kundo ki koi haqeeqat maan bhilee jaye to bhi is me hasabe zail kharabiyan hai.1. Din ki tayeenSawab kabhi bhi pohnchaya jaye pahoch jataa hai. Shareeat ne uske liye koi din aur waqt muqarrar nahin farmaya, magar ye hazrat 21 vi raat me pabandi aisa zaroori samajte hai ke goya yahi khudaai shareeat hai.Aur agar uske bajaye kisi aur din isaale sawab karne ko kaha jaye to ye hazrat us par kisi tarah raazi nahi honge, unke is tarze amalse maaloom hota hai ke sirf isaale sawab maqsood nahin, balke inke nazdeek ek aisi ibaadat jo sirf isi taarikh aur isee maheene me adaa ki ja sakti hai,Algarz isale sawab ke liye kisi taarikh ko zaroori samajna ek fujul harkat hai. Jiski shareeat me koi asal nahin aur isko zarooree samaj lena khuda wa rasool salallahu alaihi wasallam ke muqable me apni shareeat banana hai.2 .khana hi pakanaKhana karne me is baat ka khusoosiyyat se ehtimaam kiya jata hai ke kheer hee pakayi jaye, agar isaale sawab maqsood hota to itni raqam bhi sadqah ki ja sakti thi. Aur itne pesaka galla [anaaj] ya kapda kisi miskeen ko chupke se is tarah diya ja sakta tha ke baayen haath ko khabar na hoti, aur ye amal khud dikhlave aur riya se paak hone ki vajah se maqbule baargahe khuda vandi bhi hota.Khir pakane ka ya khane pakane hee ko isaale sawab ke liye zaroori samajna aur ye khayal karna ke iske bagair isaale sawab hi nahin hoga ye bhi ek alag shareeyat banana hai.3. Maaldaron ka khud kha janaSawab to sirf utne khane ko milega jo faqeeron aur miskeeno ko khila diya jaye. Magar rajjab ke kunde, gyaarvin shareef vagairah isaale sawab ke khaane pakakar log zyadatar khud hi kha pi lete hai, ya dost ya rishtehdaaron ko khila dete hai. Faqiron aur miskinon ka hissa usme bahot hi kam hota hai. Uske baavajood log samajte hai ke itna khana pakaya gaya pure ka sawab hazrat jafar sadiq ya hazrat pirane pir rh.ya fulah buzurg ko pahoch jata hai. Ye bhi shariyat ke kayde ke khilaf hai, kiyun ke shareeyat me sawab to is chiz ka milta hai jo batore sadqahkisi ko maalik banakar de di jaaye. Sirf khana pakana koi sawab nahin.4. Tabarruk samaj naBahot se log rajab ke kunde ya 11 gyarvin ke khane ko tabarruk samjte hai, halaan ke abhi maalum ho chukka ke jo khana khud kha liya jaaye wo sadqa hi nahin. Aur na hazrat jafare sadiq ya peerane peer vagairah ke isaale sawab se uska kuch talluq hai, aur khane ka jo hissa sadqah kar diya gaya uska sawab beshak pohchega, lekin sadqe ko hadish me “avsakhun naas” [logo ka mel kuchel] farmaya gaya, isi bina par huzoor sallallahu alayhi wasallam aur unke aal ke liye sadqah jaiz nahin. Aur jis chiz ko huzoor sallallahu alayhi wasallam mel kuchel farmaa rahe ho usko tabarruk samajhna aur bade bade maaldaron ka usko shoq se khana aur khilana kya huzur sallallahu alyhi wasallam kitaalim ke khilaf nahin?[ ikhtilaafe ummat aur siraate mustaqeem,Hazrat mavlana yusuf ludhyanvi r.h.Safa-200 se 202]****************************************************

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ๐Ÿ”ตJAWAB๐Ÿ”ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...