*SUBAH SADIQ KE WAQT HAIZ SE PAK HONEWALI KA ROZA*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1370⭕
Agar koi aurat ka subah sadiq se pehle haiz se pak hui yani us ka khun bandh ho gaya to us ko us din ka roza rakhna padega?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
is me darje zail tafseel hai.
A.agar das din mukammal haiz me rehkar paak hui hai to ab use subah sadiq se pehle gusal ka moqa aur waqt mila ho ya na mila ho har haal me us din ka roza rakhegi
B. Agar das din se kam me paak hui hai to dekha jayega ke subah sadiq se pehle pehle woh gusal kar ke paak ho sakti hai ya nahi?
Agar itna waqt hai ke paak ho sake(agarche gusal amalan na kare) to us par us din ka roza rakhna zaroori hoga, aur agar itna waqt nahi hai ke gusal kar sake masalan aen-bilkul subah sadiq ke waqt paak hui hai to ab us par us dim ka roza rakhna durust nahi balke baad me qaza karni hogi
📗KITABUL MASAIL 2/149
BA HAWALA
📘ALAMGIRI 1/207
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment