*FIDYA KON DEN*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1368⭕
Kya aisa bhi kiya ja sakta hai ke jitne rozah rakhe jaye hum rakh le aur baaqi ka fidiyah de den ?
Ya sabka fidiyah hi dena hoga ya sab hi rozah rakhne honge ?
⭕JAWAB⭕
حامدا و مصلیا و مسلما
1. Ramdaan ke jitne rozah bhi shara'ee uzar ki wajah se chhut jaye, un sab ki qazaa rakhna laazmi hai,
2. Fidiyah sirf wohi shakhs de sakta hai jiski sehhat is qaabil nahin ke woh rozah rakh sake, aur aaiandah bhi ummid nahin ke woh sehatmand hokar rozah rakhnae ke qaabil ho sakega, sirf aisaa sahkhs hi har farz rozah ka fidyah de sakta hai.
3. Aisa nahin ho sakta hai ke kuch rozah ki qaza aur kuch ka fidyah de diya jaye.
و اللّٰہ اعلم
📝 Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
💻📲
Roman Urdu me masail dekhne ke liye zarur dekhiye
http://www.aajkasawal.page.tl
Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment