Wednesday, May 2, 2018

KIN QARZON KO ZAKAT KEHISAB ME MAINAS KARENGE?

*KIN QARZON KO ZAKAT KEHISAB ME MAINAS KARENGE?*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1345⭕

Tajir hazrat tijarat ko taraqqi dene bank se badi badi lon lakho aur karadon rupiye ki lete hai zakat ka hisab karenge to ye qarzah bhi minha-mainas karenge?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Qarzon ki do qisme hai ek woh qarze jo tajir apni zati aur hangami-tempreri zaroorat ke liye leta hai woh qarze zakat ke hisab me se mainas-minha kiye jayenge un parzakatvwajib nahi hogi.

dusri qism ke woh qarze hai jo tajir tijarat ko apni asli zaroorat puri hone ke bawajod zayada taraqqi dene leta hai masalan badi badi fektriyan lagane, badi badi mashanari khareedne. Mal import karne leta hai in badeo qarzo ko agar un ki zakat ke hisab se mainas kiye jaye to un bade taijir par zakat hi wajib nahi hogi balke woh mustahiqe zakat ho jayenge isliye in bade qarzon me dekha jayega ke is se kon see cheezen khareedi ja rahi hai agar aesee cheez hai jo na qabile zakat hai masalan ek karod ki plant-mashinari khareedi to in mashinari par zakat wajib nahi hoti is ke bawajood ye qarzah zakat ke hisab se minha-mainas nahi karenge.

agar us ne kachcha maal khareeda to isliye ke kachcha mal-matiriyal par zakat wajib hoti hi hai isliye us ke qarze ko minha-mainas karenge

📘FIQHI MAQALAT JILD 3 SAFA 156

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasa gwal.page.tl

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...