*KIRAYE PAR DIYE MAKAN PAR ZAKAAT*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1348⭕
Ek shakhs ke paas apne rehne ke alawa bahut se makaan hai aur un makaano ko kiraye per dene ke liye kharida hai taki uska Rupya bhi mahfooz rahe aese makaanat ki qeemat per zakaat Farz hogi ya kiraye par ?
🔵JAWAB🔵
Puchhi hui surat me zakat farz na hogi kiraye ke woh makaanat chahe kitni hi qeemat ke ho,kyun us ko kiraye par dene ki. Niyyat se khareeda hai
Albatta unke kiraye se haasil shuda raqam nisaab ke ba-qadr ya usse zyada jama ho aur saal bhi guzar jaye ya dusre maal ka saal pura ho raha ho to in raqam ka bhi us ke sath hisab kiya jaye to
is tarah uski zakaat dena saal pura hone se pehle bhi zakat nikalna zaruri ho jayega.
📗Aapke Masail aur unka Hal, Jild -6\109
📘Fiqhul ibadaat, 281
و اللہ اعلم
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe
Www.aajkasawal.page.tl
Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment