*QARZA KO ZAKAT ME LIKH LENA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1346⭕
Ek musalman bhai ke paas mera qarza baaqi hai, woh haalat me aa jane ki wajah se de nahin sakta hai, woh zakat ka mustahiq hai, to kya me woh qarza me us se na mangu, aur use zakat me shumar kar sakta hun ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Puchhi huyi surat me Zakat adaa nahin hogi, kyun ke zakat ki adaygi ke liye maalik banana zaruri hai, woh yahaan nahin paya r.
Lihaza zakat bhi adaa ho jaye uska tariqah yeh hai ke : mustahiq e zakat maqrooz ko wapas dene ki shart kiye bagair rupiyon ka qabzah dekar malik banaya jaye.
Fir use darkhast ki jaye ke yeh paisa mujhe mere qarze me chuka do, agar woh pure ya jitne paise wapas de deta hai utne ki *qarzah* adaa ho jayegi.
📗MASAILE ZAKAT SE MAKHOOZ
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲💻
http:// www.aajkasawal.page.tl
Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment