*ROZEE KI BARKAT KE LIYE A'AMAAL E MUATABARA*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1482⭕
Rozee me barakat ke liye Qura'an va ahadis se saabit kon kon se a'amaal hain?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Rozee ki barakat ke liye niche likhe gaye a'amaal hain jiska Rozana aehtamam karna chahiye.
*_1⃣.Panch waqt ki namaz ka aehtamam_*
*_2⃣.Istigfaar-taubah kasrat se karna._*
*_3⃣.Maa-baap ki khidmat_*
*_4⃣.Silah rahmi (rishtedaron ke saath achchha sulook)_*
*_5⃣.Rozana apni haisiyat ke mutabiq sadqah ki kasrat_*
*_6⃣.Hamesha Ba-wazu rehne ka aehtamam_*
*_7⃣.Durood shareef ki kasrat._*
*_8⃣.Barakat ki duaa mangte rehna_*
*_9⃣.Taqwa (ya'ani har gunah se bachne ka aehtamam)_*
*_🔟.Allah ke raste me nikalna ya deen ki nashro ishaat (failane) ki mehnat karte rehna._*
*_1⃣1⃣.Nikah karna._*
*_1⃣2⃣.Hajj-umrah ki kasrat_*
📗RIZQ KE KHAZANE SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
*ISLAMI TAREEKH* : 2 MUHARRAM 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.
📲💻
http://aajkasawal.page.tl
http://www.aajkasawalgujarati.page.tl
http://www.aajkasawalhindi.page.tl
🔮Telegram channel :🔮
Https://t.me/AajKaSawalJawab
No comments:
Post a Comment