Thursday, September 13, 2018

KAALA LIBAAS

⚫ KAALA LIBAAS

⭕AAJ KA SAWAL NO.1483⭕

Kaala libaas pahenna kaisa hai?
Khusoosan muharram me ba'az log is ko aehtamam se pahente hain is ka kya hukm hai.?

🔵Jawab🔵

حامد و مصلیا و مسلما

Kaala libaas pahenna Huzoor صل اللہ علیہ وسلم se aur sahaba رضی اللہ عنہم se saabit hai isliye siyah libas pahenna  ba'az fuqhaa ne mustahab qarar diya hai

📕FATAWA HINDIYYAH 5/330

Lekin khaas taur se is zamane me shiyon ka shiaar (khaas mazhabi nishani) hone ki wajah se muharram ke mahine me aur jahaan shiyon ka galbah aur zor ho wahaan us se hamesha bachna zaruri hai.

📕KITABUL FATAWA 6/92

📗AHSANUL FATAWA 8/63 SE MAKHOOZ

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

🗓 2 MUHARRAM 1440 HIJRI

💻📱
http://aajkasawal.page.tl

💻📱
http://www.deeneemalumat.net

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...