*Aashurah ke din (aaj) kya karen*
⭕AAJ KA SAWAL NO. 1491⭕
AASHURAH KE DIN KYA KARE ?
🔵Jawab🔵
Hazrat maulana Yusuf Motala db. se mulaqat huyi. farmaya :
meri taraf se yeh baat logon ko bataa do.:
1. Hazrat Shaikh rh. ne ek martaba Aashurah ke din majlis me sabse puchha ke kis ne Hazrat Husain rd. ko kitna sawab bakhsha?
kisi ne kahaa surah Yaseen, kisi ne kuchh aur bataaya.
Hazrat Shaikh rh. ne farmaya: me Aashurah ke din poora ek Qur'an padh kar Hazrat Husain rd. ko bakhshta hun.
2. Hazrat Shaikh rh. Aashurah ke din bahot se sikke (coins) mangwa kar talaba ko aur ghar ke logon ko taqseem farmate. ke Hadees me is din khule haath se kharch ki fazilat aayi hai.
3. Us din bazar me jitne tarah ke fruits hazir hote Hazrat Shaikh sab mangwa kar ghar ke logon aur mehmano ko ehtemam se khilate. is tarah Aap Apne Amal se sunnaton ko zindah farmate.
ALLAH MUJHE BHI AMAL KI TAUFIQ DE.
NOTE: Malum huva ke
' AYAAL' sirf apne bachchey nahin, balke shagird, mureed, nokar aur mehman bhi hai.
✏Mufti Tahir sahab Bakaswala
*10 Muharram 1440.*
و الله اعلم بالصواب
✒Mufti Imran Ismail Memon sahab
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment