*HAAJIYON KA TOHFA*
&
*HAAJI KEHLWANA*
⭕AAJ KA SAWAL NO 1469⭕
🅰Jab haaji haj karke aate hai to tabarruk ya hadiye ke naam se ek rasm adaa karte hain, jisme woh khajuren, zamzam, aur unke saath dusri chizen tasbih, musalla, thaal bartan wagerah chizen rasm ke taur par baantte hain yeh kaisa hai ?
🅱Hajj ki sa’adat haasil karne ke baad apne naam me lafz *haaji* lagana kya jaiz hai ?
Qur'an aur hadis ki roshni me bateiye taake me bhi apne naam me haaji lagaun ya na lagaun, behtar kya hai ?
🔵JAWAB 🔵
حامد و مصلیا و مسلما
🅰 Dost rishtedaron ko tohfe dene ka shariyat me hukm hai, isse mohabbat badhti hai, magar dilee ragbat aur mohabbat ke bagair *mahaz naam ke liye* ya *rasm ki adaygi aur dikhane ke liye* koi kaam karna buri baat hai, hajiyon ko tohfe dena aur unse wasool karna aaj kal ek aisa riwaj ho gaya hai ke mahaz naam aur *sharm ki wajah se yeh kaam dil chahe na chahe kiya jata hai,* yeh shar’an chhodne ke laaiq hai.
🅱 Apne naam ke saath haaji lafz lagana bhi riyakaari ke siva aur kuchh nahin, hajj to raza e Ilaahi ke liye kiya jaata hai, *dusre log agar haaji sahib kahen to koi muzaiqah [haraj] nahin.* Lekin khud apne naam ke saath haaji ka lafz likhna bilkul galat hai.
📝 Mufti Imran Ismail Memon
📆19 zulhijjah 1439 hijri - 31/08/2018 isvi
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
📱
http://aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment