Tuesday, September 11, 2018

NAYE SAAL AUR NAYE CHAND KE WAZAIF

*NAYE SAAL AUR NAYE CHAND KE WAZAIF*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1481⭕

1.Islami naya saal shuru ho us din puri bismillah 786 martaba ya 113 martaba likh kar rakhne se rozi me barkat hoti hai.

2.Surah e fatihaa char baar padhkar apne upar dam karne se poore saal balaa aur museebat qareeb nahin aati.

Kya yeh dono aur isee tarah ke dusre wazaif jo saal ki shuruat aur khatm par padhe jaate hain yeh wazeefe padh sakte hain?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Saal ki ibtidaa aur intihaa me jitne bhi wazaif mashhoor hain woh kisi bhi muatabar sahih ya zaeef hadees ki kitab se saabit nahin na uski targeeb sahaba Radeeyallahu anhum ne dee na tabieen wa tabe tabieen, na charon imam Rahmatullahi alayhim ne dee na unhone iska ma'amul banaya, lihaza aise wazaif ki tahqeeq kar ke amal karna chahiye.

Bismillah Qura'an ki aayat hai aur surah e fatiha aur bismillah ke fazail aur barkaton ka aam suboot milta hai aur yeh amaliyat aur wazeefe ke qabeel se hai jiska talluk tajrabe aur yaqeen se hai lihaza use padh sakte hain

📗JAWAHIRUL FIQAH 2/187

*Lekin Qura'an hadees se yahee wazeefah isee tarah padhna sabit nahin, lihaza masnoon samajh kar na padhna chahiye aur is ko bahot ziyadah ahmiyyat na deni chahiye, na is ki ziyadah dawat chalani chahiye na us ka ziyadah aehtamam karna chahiye rozee ki barkat ke liye museebat se hifazat ke liye asal to Qura'an wa hadees se barahe raast (direct) saabit a'amaal hain uska aehtamam karna chahiye ummat Allah aur Rasool SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke batlaye a'amaal ko woh aehtamam aur charcha nahin jo gair masnoon a'amaal ka karti hai yeh qabile islaah mijaaz hai.*

📗TANBEEHAT SAFA 5

HAZRAT MUFTI ABDUL BAQI AKHUN ZADAH KI KITAB SE MAKHOOZ.

TASDEEQ: MUFTI JUNED MUMBAI

*_👉🏻NOTE: Rozi ki barakat ke liye Qura'an hadees se Jo a'amaal sabit hain jinka aehtamam karna chahiye use kal ke msg me paish kiya jayega  اِ نْ شَآ ءَ اللّهُ_*

و الله اعلم بالصواب

*ISLAMI TAREEKH* : 1 MUHARRM 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 USTAD E DARUL ULOOM RAMPURA SURAT, GUJARAT, INDIA.

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

http://www.aajkasawalhindi.page.tl

Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...