✨💞✨💞✨💞✨💞✨
*MUHARRAM ME SHADI*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1484⭕
Muharram ke mahine me shadi karna, rukhsati kar ke walima karna, bachhe ki khatna karvana, khushi ka koi Kaam karna jaiz hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Jaiz hai, shariat me uski mumaniat ki koi dalil nahin, baaki waqia e shahadat ka gam woh aisi chiz hai jo isee din huva, Jisko is waqie ka gam ho woh hamesha gam rakhta hai aur shariat me kisi ke intiqal par 3 din se zaaid sog manana jaiz nahin rakha gaya sirf bivi apne shohar ke intiqal par 4 mahine 10 din iddat me sog mana sakti hai
lihaza shadi aur walima wagairah is din me aur tamaam ashra e muharram me bila shuba jaiz hai.
📕Imdadul muftiyyin jild:1 s:96
و الله اعلم بالصواب
*ISLAMI TAREEKH* : 3 MUHARRAMUL HARAAM1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
*اَلْحَمْدُلِلّهِ NAYI WEB SITE*
No comments:
Post a Comment