Tuesday, September 18, 2018

MOHARRAM KA KHICHDA HI PAKANA

🍜 *MOHARRAM KA KHICHDA HI PAKANA*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1487⭕

Kya farmate hain ulama e kiraam is baare me ke muharram me khichada hi pakaya jaaye?

khichde ke saboot ke taur per bayaan kiya jaata hai ke Nooh علیہ السلام ki kashti aashoorah ke din judi pahad par thehri to unhone bataure shukranah khichda pakaya tha isliye ham bhi pakate hain.

Is riwayat ka kya hukm hai?
Bareli aur deoband ke maane huve hawale se jawab dene ki guzarish.

🔵Jawab🔵

حامد و مصلیا و مسلما

Hazrat Nooh علیہ السلام Ki kashti ne toofan se najaat paayi aur judi pahaad par thehri, Nooh علیہ السلام Ne bataure shukranah kashti me maujud 7 qism ke gallo (anaaj) ka huboob (khichada) banaya. is riwayat ko bhi dewbandi wa barelvi ulamaa ke sartaaj hazrat maulana shah Abdul Haq muhadise dehlvi rahmatullahi alayhi Ne mawzua (banavati) qaraar diya hai.

📚Maa Sabat bis sunnah 16/6

mawzua (banavati) hadees ki misaal dete huve farmate hain ke "ka fais salati, wal iktihaali, wa tabkhil huboob, zaalika qullu mawzuoon wa mafturaa"

Jaise namaaz ki fazilat, surmaa dalne ki aur khichda pakane ki aur iske alawa tamaam fazilat mawzuaa aur iftraa (bohtaan) hai,

📚Barelvi aur ulama e deoband ki maani huyi kitaab *maa sabat bis sunnah*
Safa 17.
Lihaza khichda hee pakana zaruri nahi.

*Ahlo ayaal ko pasand ho woh hee pakana chahiye. us din ahlo ayaal par wus'at (kuchh ziyadah) kharch karne ki fazeelat muft me taqsim hone wale khichde ki wajah se ba'azon ki chhut jati hai.

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📆ISLAMI TARIKH 6 MUHARRAM 1440 HIJRI

💻📱
http://aajkasawal.page.tl

💻📱
http://www.deeneemalumat.net

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...