Monday, September 10, 2018

MUHARRAM KI NAVMI AUR DASVI E ROZAH KI BE INTIHA FAZEELAT

*MUHARRAM KI NAVMI AUR DASVI E ROZAH KI BE INTIHA FAZEELAT*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1478⭕

Wahatsapp par ek riwayat viral huyi hai ke jisne muharram ki navmi, daswi ko rozah rakha use 1000 hajj, 1000 umrah aur 1000 shahidon ka sawab milega aur uske ek saal ke gunah muaf honge aur do saal ki ibadat ka sawab milega aur jo ye dusre ko bhejega use 80 saal ki ibadat ka sawab milega.
Kya yeh riwayat sahih hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Itni badi fazeelat to ramzan ke farz rozah ki bhi warid nahi huyi hai haalan ke farz ka sawab nafl se bahut hi ziyadah hota hai aur dusron ko sirf bhejne me 80 saal ki ibadat ka sawab mil jayega aisa bhejne aur batane ka sawab bhi kisi bhi ibadat ke baare me muatabar riwayat me warid nahin huva hai aur yeh riwayat kisi bhi sahih ya zaeef ahaadees ki kitabon me mavjood nahin, lihaza yeh riwayat mavzooa (banawati) hai ise aage bhejne dusron ko is ki yeh fazeelat batana bhi jaiz nahin. Aisa aadmi sakht gunehgar hai.

و الله اعلم بالصواب

*ISLAMI TAREEKH* : 27 ZUL HIJJAH 1439 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi Chishti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

http://www.aajkasawalhindi.page.tl

Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...