Monday, September 10, 2018

ISLAMI NAYA SAAL ME KYA KARE

*ISLAMI NAYA SAAL ME KYA KARE*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1479⭕

Abhi islami naya saal 1440 aane wala hai naye saal ki khushi me hame kya karna chahiye?

Kya ek dusre ko mubarakbadi aur dua de sakte hain?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Islam ek saadgi wala deen hai us me gair qaum ki naqqali ho aisi baaton se aehtiyaat karne ki ta'alim hai aur din manane ki rasm na hona yeh uska mizaj hai iseeliye hijri tarikh ki shuruat Hazrat Umar Radeeyallahu anhu ke daur se shurua hone ke bawajood Hazrat Usman, Hazrat Ali wagairah sahaba Radeeyallahu anhum se is baare me koi khaas amal saabit nahin,

Albattah ek duaa padhna saabit hai us duaa padh lene chahiye woh duaa yeh hai

*الھم ادخلہ علینا بالامن والایمان و السلامت و الاسلام و رضوان من الرحمان و جوار من الشیطان*

*ALLAAHUMMA ADKHILHU ALAYNA BIL AMNI WAL IEEMAAN WAS SALAAMATI WAL ISLAAM WA RIZWAANIM MINAR RAHMAAN WA JIWAARIM MINASH SHAYTAAN.*

📗AL MUAJAMAUL AWSAT

Aur ek dusre ko duaa dena aur nayi cheez ki mubarak baadi dene me bhi koi haraj nahin hai, jaiz hai mubarak baadi dena bhi barakat ki duaa hi hai lekin sunnat se saabit nahin. uske liye koi khas alfaz bhi saabit nahin, lihaza gairon ki mushabahat na ho isliye na isme khushi manayi jaaye, na party dee jaye, na roshni ki jaye isee tarah alfaz ko khaas kiye bagair mubarak badi bhi de sakte hain aur duaa mangna aur dena har achchhe moqe par yeh islam me pasandeedah hai.

📗 (AL MUWASATUL FIQHIYYAH 14/100,

📄ON LINE FATAWA DARUL ULOON DEWBAND SE MAKHOOZ IZAFON KE SAATH)

✅1.TASDEEQ MUFTI JUNAID IMAMO KHATEEB MASJISE NOOR KALABA MUMBAI

2.MUFTI FAREED KAWI JAMBUSAR

3.MAULANA SALIM MEMION GOREGANV

و الله اعلم بالصواب

*ISLAMI TAREEKH* : 28 ZUL HIJJAH 1439 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

http://www.aajkasawalhindi.page.tl

Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...