Thursday, September 27, 2018

HAJJ KA TAZKIRAH HAR KISI SE NA KARNA

*HAJJ KA TAZKIRAH HAR KISI SE NA KARNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1497⭕

Hazrat mufti sahab, me is saal hajj kar ke aaya hun, to kya me mere milne walon se yeh keh sakta hun ke me hajj kar ke aaya ?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

Hajj ka tazkirah har ek shakhs se na karna chaiye, kyun ke tazkirah me khauf hai riyaa aur fakhr paida hone ka, riyaa aur fakhr ki niyyat se tazkirah karna to buraa hai hi, lekin muhaqqeqeen sufiya to baaz awqat aise tazkiron ko bhi manaa karte hain jo bazaahir taa’at malum hote hain, masalan wahaan ke mahaasin [achchhe manzar] aur fazail bayaan karna jisse wahaan jaane ka shauq aur ragbat paida ho.

Tazkirah sunne wale 3 kism ke log hain.

Ek who log hai jin par hajj farz hai, unke samne to targeebi mazameen bayaan karna jaiz balke mustahab hai,

Dusre woh log jin par hajj farz nahin hai, lekin unme hajj ki taaqat aur gunzaish hai, aur unko hajj karne jaana manaa bhi nahin hai, unke samne bhi bayaan karna jaiz hai,

Teesre who log jin par hajj farz nahin hai, unko hajj ke liye jaana mana hai, yeh who log hain jinki maali taaqat nahin hai, aur mashaqqat par sabr aur bardasht ki bhi kudrat nahin hai, aise logon ke saamne aise waqiyat aur mazamin bayaan karna jinse unko hajj ka shauq paida ho jaiz nahin, kyun ke isse unko hajj ka shauq paida hoga aur unke paas saamaan hai hi nahin, na zaahiri, na baatinee, to khwamkhah pareshani me mubtala honge, jise na-jaiz kaamo me pad jaane ka andeshah hai.

📗MUALLIMUL HUJJAJ. AKHIRI SAFHAAT SE MAKHOOZ

و اللہ اعلم بالصواب

✒Mufti Imran Ismail Memon Sahab

🕌Ustad e Darul Uloom Rampura Surat Gujarat India

📆ISLAMI TAARIKH: 16 MUHARRAMUL HARAAM 1440

📲💻
🌏http://aajkasawal.page.tl

🌏http://www.aajkasawal.in

🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4

🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k

🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq

🌐Telegram channel:
https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...