*EK ZILE KE MUKHTALIF DIHATON ME CHILLA LAGANE WALON KA HUKM*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1475⭕
Surat zile ke mukhtalif dihaton me hamari jamaat ko waqt lagane ka is tarah mashwarah se kahaa gaya ke har dihat me hafta lagana hai masalan Bardoli ganv me hafta, fir wakaaner me hafta, fir walod me hafta is tarah surat zile ke har dihat me hafta lagane ka faisla huva, ek dihat se dusre dihat me jaane ka fasla musafate safar se kam hai. To ham in dihaton me muqeem kahlayenge ya musafir?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Mazkoorah jamaat pura chilla surat zile me musafir hi rahegi muqeem banne ki shart ek hi jagah (shahar ya dihaat) me 15 din thaherne ki shart is jamaat ke haqme payi nahin gayi.
📘FATAWA QASMIYAH 8/681
📗IMDADUL FATAWA 1/593 SE MUSTAFAAD
و الله اعلم بالصواب
*ISLAMI TAREEKH* :24 ZUL HIJJAH 1439 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.
📲💻
http://aajkasawal.page.tl
http://www.aajkasawalgujarati.page.tl
http://www.aajkasawalhindi.page.tl
🔮Telegram channel :🔮
Https://t.me/AajKaSawalJawab
No comments:
Post a Comment