Tuesday, September 18, 2018

EK ROZAH RAKHNE AUR BAGEIR SAHRI KE ROZAH KA HUKM

*EK ROZAH RAKHNE AUR BAGEIR SAHRI KE ROZAH KA HUKM*

⭕AAJ  KA SAWAL NO.1488

AASHORAH KE ROZAH KI KYA FAZILAT HAI?

ROZAH KON SE DIN RAKHNA HAI?

EK ROZAH RAKH SAKTE HAIN?

BAGEIR SAHRI KA ROZAH RAKH SAKTE HAIN?

AASHURAH KE ROZAH KE SAATH QAZAA KI NIYYAT KARNE KA KYA HUKM HAI?

🔵Jawab🔵

حامد و مصلیا و مسلما

AASHORAH KA ROZAH RAKHNE SE GUZISHTAH EK SAAL KE SAGEERAH GUNAH MUAAF HO JATE HAIN.

DO ROZE NA RAKH SAKTE HO TO EK ROZAH RAKHNA BHI JAIZ HAI. LEKIN MUNASIB NAHIN HAI. HAZ. MAULANA MANZOOR NUAMANI R.A. FARMATE THE KE YAHOODIYON KI TARIKH KA TIME TABLE AB ALAG HAI LIHAAZA AB MUSHABAHAT
KHARABI MERE KHAYAAL ME BAAQI NAHIN RAHI.

EK ROZAH RAKH SAKTE HAIN LEKIN EK ROZAH RAKHNA MAKRUHE TANZIHI HAI LEKIN US EK ROZAH KA SAWAB TO MILEGA

📗FATAWA MAHMUDIYAH JILD.10 SAFAH 193 DABHEL BA HAWALA MARAQIYUL FALAH 640 WA AALAMGIRI 1/202 SE MAAKHOOZ

BAGEIR SAHRI KE AASHORAH KA AUR NAFIL ROZAH RAKH SAKTE HAIN. LEKIN SAHRI KI SUNNAT CHHUT JAYEGI.

AASHURAH KE ROZAH KE SAATH AGAR QAZAA KI NIYYAT KARE TO ASAL TO QAZA ROZA HI ADA HOGA ASHOORAH KI FAZEELAT MILNE KE BAARE ME IKHTILAF HAI BA'AZ ULAMA KEHTE HAIN US DIN ROZAH KE AETAMAM KI WAJAH SE UMMEED HAI KE AASHOORAH KI FAZEELAT BHI MIL JAYEGI.

SUBAH SADIQ KE BA'AD ROZAH KO TODNEWALI CHEEZ PAISH NA AAYI HO TO ZAWAL SE PEHLE NIYTAT KAR SAKTE HAIN.

📗 FATAWA RAHEEMIYA AUR KITABUL FATAAWA
📘FATAWA QASMIYA 21/396

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📆ISLAMI TAARIKH 7 MUHARRAM 1440

💻📱
http://aajkasawal.page.tl

💻📱
http://www.deeneemalumat.net

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://aajkasawal.page.tl

💻📱
http://www.deeneemalumat.net

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...